Wednesday, November 19, 2008

Aga Hashr
Tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib seTum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se tum se to kam gilaa hai ziyaadaa nasiib se
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai hotaa hai paharo.n zikr tumhaaraa tabiib se
barabaad-e-dil kaa aakhirii saramaayaa thii ummiid vo bhii to tum ne chhiin liyaa mujh gariib se
dhu.ndhalaa chalii nigaah dam-e-vaapasii hai ab aa paas aa ke dekh luu.n tujh ko qariib se
....................................................................
Suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotiiSuu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii
[suu-e-maikadaa=towards the bar/place for drinking]
go havaa-e-gulasitaa.n ne mere dil kii laaj rakh lii wo naqaab khud uthaate to kuchh aur baat hotii
ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaa.n muattar magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii
[muattar=full of itr]
ye khule khule se gesuu, i.nhe.n laakh tuu sa.nwaare mere haath se sa.nwarate, to kuchh aur baat hotii
go haram ke raaste se vo pahu.nch gaye khudaa tak terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii

1 comment:

vijay kumar sappatti said...

ki ye nazm acchi lagi , bahut acha likhti hai aap.

aap ko badhai ..

pls visit my blogs for my poems .

Vijay

http://poemsofvijay.blogspot.com/